Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Lyrics - Nusrat Fateh Ali

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho
 

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Song is qawwali song. This song is sung by one of the best qawwali singer Nusrat Fateh Ali Khan. This song lyrics are written by Nusrat Fateh Ali and composed by him.


Tum Ek Gorakh Dhanda Ho Song's Credit / Details
Song
Chadta Suraj Dheere Dheere
SingersNusrat Fateh Ali 
LyricistNusrat Fateh Ali 
Music ComposerNusrat Fateh Ali 


We have given  Tum Ek Gorakh Dhanda Ho  Lyrics below:

Kabhi Yahaan Tumhein Dhonda, Kabhi Wahaan Pohncha

Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan Pohcha

Ghareeb Mit Ga’ay, Pamaal Ho Gaye Laikin

Kisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha


Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa Ho

Ho Bhi Nahi Aur Her Ja Ho

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho



 

Her Zarray Mein Kiss Shaan Say Tu Jalwa Numa Hai

Hairaan Hai Magar Aqal K Kaisay Hai To Kia Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Tujhay Dair-O-Haram Mein Nai Dhonda Tu Nahi Milta

Magar Tashreef Farma Tujhay Apne Dil Mein Daikha Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Dhonday Nahi Milay Ho Na Dhonday Say Kaheen Tum

Aur Phir Yeah Tamasha Hai, Jahan Hum Hein Waheen Tum

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Jab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood Nahi

Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Purdah Karna

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho



 

Harm O Dair Mein Hai Jalwa E Purfan Tera

Do Gharoon Ka Hai Charaagh E Kurkhe Roshan Tera

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai, Usi Kho’ay Hoay Ko Kuch Mila Hai

Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai, Magar Totay Hoay Dil Mein Mila Hai

Adam Bun Ker Kaheen To Chup Gaya Hai, Kaheen To Hast Bun Ker Aa Gaya Hai


Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kaisa, Nafi Bhi Tairay Honay Ka Pata Hai

Mein Jiss Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti, Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai

Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu, To Phir Mein Kaisay Samjha Tu Khuda Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Hairan Hoon Is Baat Pay, Tum Kon Ho Kia Ho

Haath Aao To But, Haath Na Aao To Khuda Ho

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho



 

Aqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiyoon Ker Hoa

Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiyoon Ker Hoa

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Falsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta Nahi

Dour Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Pata Yoon To Bata Daitay Ho Sub Ko La-Makaan Apna

Ta’ajub Hai Magar Rehtay Ho Tum Tootay Hoay Dil Mein

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujood

Phir Yeah Hangama Ay Khuda Kia Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Chuptay Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum, Jalwa Dikha K Jalwa Dikhatay Nahi Ho Tum

Dair O Haram K Jhagray Mita’tay Nahi Ho Tum, Jo Asal Baat Hai Wo Batatay Nahi To Tum

Hairaan Hoon Mairay Dil Mein Sama’ay Ho Kiss Tarah, Haan’la K Do Jahan Mein Samatay Nahi To Tum

Yeah Ma Bud O Haram, Yeah Qaleesa-o-Dair Kiyoon, Harjayii Ho Jabhi To Bata’tay Nahi To Tum

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho



 

Dil Peh Hairat Nai Ajab Rung Jama Rakha Hai, Aik Uljhi Howi Tasveer Bana Rakha Hai

Kuch Samajh Mein Nahi Aata K Yeah Chakkar Kia Hai, Khail Kia Tum Nai Azal Say Yeah Racha Rakha Hai

Rooh Ko Jism K Pingray Ka Bana Ker Qaidee, Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha Hai

Day K Tadbeer K Panchi Ko Uranay Tu Nai, Daam-E-Tadbeer Mein Her Sumt Bicha Rakha Hai

Kar K Araish E Qounain Ki Barsoon Tu Nai, Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai


La-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhein, Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha Hai

Yeah Burai, Wo Bhalai, Yeah Jahannum, Wo Bahisht, Is Ulat Phiar Mein Farmao To Kia Rakha Hai

Jurm Aadam Nai Kiya Aur Saza Baitoon Ko, Adl O Insaaf Ka Mi’aar Bhi Kia Rakha Hai

Dai K Insaan Ko Dunya Mein Khilafat Apni, Ik Tamasha Sa Zamanay Mein Bana Rakha Hai

Apni Pehchaan Ki Khaatir Hai Banaya Sub Ko, Sub Ki Nazaroon Say Magar Khud Ko Chup Rakha Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho



 

Nit Naye Naqsh Banatay Ho Mita Daitay Ho, Janay Kiss Jurm-E-Tamanna Ki Saza Daitay Ho

Kabhi Kunker Ko Bana Daitay Ho Heeray Ki Kani, Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Daitay Ho

Zindagi Kitnay He Murdoon Ko Ata Ki Jiss Nai, Wo Maseeha Bhi Saleebon Pay Saja Daitay Ho

Khuwahish-E-Deed Jo Kar Baithay Sir-E-Tuur Koi, Tuur Hee Bark e Tajaali Say Jala Daitay Ho

Nalay Namrood Mein Dalwatay Ho Qudrat Na Khaleeq, Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Daitay Ho


Chahay Kin Aan Mein Phainko Kabhi Maah Kinaan, Noor Yaqoob Ki Aankhon Ka Bujha Daitay Ho

Day Ke Yusuf Ko Kabhi Mirs K Bazaaron Mein, Aakhir Kaar Shah-E-Misr Bana Daitay Ho

Jazb O Masti Ki Jo Manzil Pe Pohonchta Hai Koi, Baith Ker Dil Mein Anal Haq Ki Sada Daitay Ho

Khud He Lagwatay Ho Phir Kufr K Fatway Us Per, Khud He Mansoor Ko Sooli Peh Charha Daitay Ho

Apni Hasti Bhi Wo Ik Rooz Gawa Baith’ta Hai, Apne Darshan Ki Lagan Jiss Ko Laga Daitay Ho


Koi Ranjha Jo Kabhi Khooj Mein Nikle Teri, Tum Usay Jhang K Bele Mein Rula Daitay Ho

Justujo Lay K Tumhari Joh Chalay Qais Koi, Us Ko Majno Kisi Laila Ka Bana Daitay Ho

Jot? Sassi K Agar Mun Mein Tumhari Jagay, Tum Usay Taptay Hoay Thal Mein Jala Daitay Ho

Sohni Gar Tum Ko Mahiwaal Tassawur Ker Le, Us Ko Bikhri Howi Lehroon Mein Baha Daitay Ho

Khudh Joh Chaho To Sar-E-Arsh Bula Ker Mehboob, Aik He Raat Mein Mairaaj Kara Daitay Ho

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Aap Hi Apna Pardah Ho

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Jo Kehta Hoon Mana Tumhein Lagta Hai Bura Sa, Phir Bhi Hai Mujhay Tum Say Baharhaal Gila Sa

Chup Chaap Rahay Daikhtay Tum Arsh-E-Bareen Per, Taptay Hoay Karbal Mein Mohammad Ka Nawasa

Kiss Tarah Pilata Tha Laahu Apna Wafa Ko, Khud Teen Dino Say Wo Agarchay Tha Piyasa

Dushmun To Bahar Haal Thay Dumshun Magar Afsoos, Tum Nai Bhi Faraham Na Kia Pani Zara Sa


Her Zulm Ki Taufeeq Hai Zaalim Ki Wirasat, Mazloom K Hissay Mein Tasalli Na Dilasa

Kal Taaj Saja Daikha Tha Jis Shaqs K Sir Per, Hai Aaj Usi Shaqs K Haathon Mein Hikasa

Yeh Kia Hai Agar Pochon To Kehtay Ho Jawaban, Is Raaz Say Ho Sakta Nahi Koi Shanasa

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Hairat Ki Ik Dunya Ho

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Har Aik Jaan Pey Ho, Laikin Pata Nahi Maloom

Tumahra Naam Suna Nai, Nishaan Nahi Maloom

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Dil Say Armaan Jo Nikal Ja’ay To Jugnu Ho Ja’ay, Aur Aankhon Mein Simat Aa’ay To Aanso Ho Ja’ay

Ja Pe Ya Huu Ka Jo Be Hu Karay Hu Mein Kho Ker, Us Ko Sultaniyaan Mil Jaein Woh Baahu Ho Ja’ay

Baalgi Ka Na Kisi Ka Ho Churi Ke Neechay, Halk-E-Asghar Mein Kabhi Teer Tarazu Ho Ja’ay

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Kiss Qadar Beniyaaz Ho Tum Bhi

Daastan E Niyaaz Ho Tum Bhi

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Raah-E-Tehqeeq Mein Her Gaam Pay Uljhan Daikhoon, Wohi Halaat O Khayalaat Mein Anaban Daikhoon

Bana Ke Rah Jaata Hoon Tasaveer Pareshaani Ki, Ghaur Say Jab Bhi Kabhi Dunya Ke Darpan Daikhoon

Aik He Khaaq Pay Fitrat Ke Tajaadaat Itne, Itne Hisson Mein Banta Aik He Angan Daikhoon


Kahin Zahmat Ki Sulagti Howi Patjhar Ka Sama, Kahin Rahmat Ke Barastay Hoay Sawan Daikhon

Kahin Punkartay Darya, Kabhin Khamosh Pahar, Kabhi Jungle, Kahin Sahra, Kahin Gulshan Daikhoon

Khoon Rulata Hai Yeh Taqseem Ka Andaaz Mujhay, Koi Dhanwaan Yahaan Per Koi Nirdhan Daikhoon


Din Ke Haathon Mein Faqat Ek Sulagta Suraj, Raat Ki Maang Sitaroon Say Muzayyan Daikhon

Kahin Murjha’ay Howe Phool Hein Sach’chaii Ke, Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pay Bhi Joban Daikhon

Shams Ki Khaal Kaheen Khinchti Nazar Aati Hai, Kaheen Sarmad Ki Utarti Howi Gardan Daikhoon


Raat Kia Shay Hai Sawayra Kia Hai, Yeah Ujala Yeah Andhera Kia Hai

Mein Bhi Naayib Hoon Tumhara Aakhir, Kiyoon Yeh Kehtay Ho K Tera Kya Hai

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Daikhnay Wala Tujhay Kia Dekhta

Tu Nai Her Rung Say Pardah Kia

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Masjid Mandir Yeh Mekhanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay

Sub Tere Hein Jaana Kasahanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay

Ik Honay Ka Tere Qaail Hai, Inkaar Pay Koi Maail Hai

Ik Khalq Mein Shaamil Karta Hai, Ik Sub Say Akela Rehta Hai

Hein Dono Tere Mastanay, Koi Yeh Manay Koi Woh Manay

Sub Hein Jab Aashiq Tumhare Naam Ke, Kiyoon Yeh Jhagray Hein Rahim-O-Raam Ke

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Dair Mein Tu Haram Mein Tu, Arsh Pe Tu Zameen Pe Tu

Jiss Ki Pohonch Jahan Talak Us K Liyeah Waheen Pe Tu

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Her Ik Rung Mein Yakta Ho

Her Ik Rung Mein Yakta Ho

Tum Ek Gorakh Dhanda Ho


Markaz E Justuju, Aalam E Rung O Boo, Dum Ba Dum Jalwagar Tu He Tu Chaar Su

Hu K Mahool Mein Kuch Nahi Illah Hu, Tum Bohot Dilruba Tum Bohot Khoobaru

Arsh Ki Azmatein Farsh Ki Aabro, Tum Ho Qonein Ka Haasil-E-Aarzo

Aankh Nay Ker Lia Aanso’on Say Wazu, Ub To Ker Do Ata Deed Ka Ik Sabu

Aao Parday Say Tum Aankh K Ru Baru, Chund Lamhay Milan Do Ghari Guftagu

Naaz Jabta Phiray Ja Baja Qo Ba Qu, Wahdahu Wahdahu La Shareeka Laho


Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu



Comments